Humne to suni thi ek aahat laga tha tum ho…
Woh to mera aks nikla,
Jo keh gaya bas main hi tumhare saath hoon...
Dhoondh sako to dhoondh lo
Main hi tumhari talaash hoon…aas hoon…aawaaz hoon…
Thukra diya maine apne aks ko…
Kho gaya woh kahin…
Kehta tha rahega saath hamesha…
Keh chala woh kahin…
Ab dhoondhoon to bhi milta nahin hai woh…
Kehta nahin hai woh…suntan nahin hai woh…
Woh talaash abhi bhi hoti hai…
Woh dastak abhi bhi hoti hai…
Par chala gaya mera aks kahin..
Yeh aas abhi bhi roti hai…




n.jpg)